Tuesday, September 3, 2013

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi
Barham Hoi Hai Youn Bhi Tabiat Kabhi Kabhi

Ay Dil Kise Naseeb Ye Tofeeq-e-Iztirab
Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi

Tere Karam Se Ay ALm-e-Husn-e-Aafreen
Dil Ban Gia Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi

Dil Ko Kahan Naseeb Ye Tofeeq-e-Iztirab
Milti Hai Zindagi Mein Ye Rahat Kabhi Kabhi

Josh-e-Janoon Mein Dard Ki Tughyanion K Sath
Ashkon Mein Dhal Gai Teri Surat Kabhi Kabhi

Tere Qareeb Reh K Bhi Dil Mutmain Na Tha
Guzri Hai Mujh Pe Ye Qayamat Kabhi Kabhi

Kuch Apna Hosh Tha Na Tumhara Khayal Tha
Youn Bhi Guzar Gai Shab-e-Furqat Kabhi Kabhi

Ay Dost Hum Ne Tark-e-Mohabbat K Bawajood
Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi......!
(Nasir kazmi)
poetry in urdu-urdu shayri

Monday, September 2, 2013

Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana

Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana
takaan paon kiaur titliyon ke par lana,

mein likh rahi hoon kahani teri rifaqat ki
jo ho sake to koi harf-e- motabar lana

yahi na ho ke musalsal wafa thaka dale
 mohabbato'n mein nayya pan talash kar lana

safar ke shoq mein chal to paray ho tum ghar se
 dukho'n ki gard se daman na apna bhar lana

jo kohe qaaf chale ho to chand chehro'n ka
 mujasma koi acha talash kar lana............
 (Noshi gilani)
poetry in urdu-urdu shayri

Monday, August 26, 2013

Is se pehle ke in aankhon se

Is se pehle ke
In aankhon se lahoo girne lage
Tujhko lahaq ho
Kisi sard jazeere ka safar
Meri awaz mein ajaye
Gareebul watni
A kisi roz
Mohabbat ki ijazat ke sammay
Apne khwabon ki zameeno'n ki hawa ko chhoo len
(Dard poetry)
poetry in urdu-urdu shayri 

Sunday, August 25, 2013

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi


Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena
Yaad Karna Bhi Isse Roz Bhula Bhi Dena

Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Uski
Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena

Phir Na Milne Ko Bichhadti To Hon Tujhse Lekin
Mud Ke Dekhun To Palatne Ki Dua Bhi Dena

Khat Bhi Likhna Usse Mayoos Bhi Rehna Us se
Jurm Karna Bhi Magar Khudko Saza Bhi Dena

Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Lekin
Jee Mein Aaye To Ye Deewar Gira Bhi Dena

Us se mansoob bhi kar lena puraane Qissay
Uske baalon mai naya phool saja bhi dena

Surat-E-Naqshe Qadam Mein sada Rehna Mohsin
Apne Hone Se Na Hone Ka Pata Bhi Dena
(Diya poetry)
poetry in urdu-urdu shayri

Saturday, August 24, 2013

Meri bhegi bhegi Palkein


Meri bhegi bhegi
Palkein !
Surkh surkh roti hui
Matoram aankhen
Yeh wazey na kar de'n ke
Tu ne mujhe jo dukh diye
Woh aansoo ban kar tujh par
Mere is jazbay ko ayyan na kar de'n
Ke mein ne tujhe Toot kar chaha tha...!
(Aansoo poetry)
poetry in urdu-urdu shayri

Tuesday, August 20, 2013

Aehad nibhane ki khatir


Ussne kaha sun
Aehad nibhane ki khatir mat aana
Aehad nibhane wale aksar
Majboori ya mehjoori ki thakan se choor loTa karte hain
Tum jao...
Aur darya darya pyaas bhujao
Jin aankhon mein doobo
Jis dil mein utro
Meri jalan tumhen awaz na degi
Lekin jab meri chahat
Aur meri khwahish ki low
Itni tez aur ounchi ho jaye
Jab dil ro de
Tab loT aana.!
(Ahmad faraz Urdupoetry)
Aehad nibhane ki khatir

Sunday, August 18, 2013

Khulay gi uss nazar pe chashm-e-tar


khulay gi uss nazar pe chashm-e-tar aahista aahista
kiyaa jata hai paani mein safar aahista aahista

koi zanjir phir vaapas vahin par le ke aati hai
kathin ho raah to chhut'taa hai ghar aahista aahista

badal dena hai rasta ya kahin par baith jaana hai
ke Thakata ja raha hai hamsafar aahista aahista

Khalish ke saath is dil se na meri jaan nikal jaaye
khinche tir-e-shanasai magar aahista aahista

hawa se sar_kashi mein phool ka apna ziyaan, dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar aahista aahista
(Parveen shakir)
Khulay gi uss nazar pe chashm-e-tar