Sunday, August 11, 2013

Titliyan Pakarne Mein Door Tak Nikal Jana



Titliyan Pakarne  Mein Door Tak Nikal Jana
kitna achha lagta hai, phool jaise bacho'n par

leher leher kirno'n ko cher kar guzarti hai
chandni utarti hai jab shareer jharno'n par

dhoop saat rango'n mein phelti hai aankhon par
burf jab pighalti hai uski narm palko'n par

phir bahaar ke saathi agaye thikano'n par
surkh surkh ghar niklay sabz sabz shakho'n par

jism-o-jaan se utray gi  gard pichlay mausam ki
dho rahi hai sab chirya'n apnay pankh chashmo'n par

saari raat sote mein muskara raha tha wo
jaise koi sapna sa kanpta tha honto'n par
(Parveen shakir)
urdu poetry ghar-urdu poetry

No comments:

Post a Comment